Lekin
Sabse aula wa aala hamara nahi ﷺ
Sabse bala wa aala hamara nabiﷺ
Jinke talwon se jibrail ankhe malen
Chand suraj ishare pe jiske chalega
Jisjke age diye kufr ke na jale
Bhuj gai jiske aage sabhi madhalen
Shamma wo le kar aya hamara nabiﷺ
Lakho aaye yaha aur lakho gaye
Unche unche shahinsha yaha na rahe
Kitne diye jale jal ke phir bujh gaye
Kya khabar kitne taare khile chup gaye
Per na dube na duba hamara nahi ﷺ
Aaina haq numa hai Muhammad ki baat
Hai khuda ki wahi unki har ek baat
Hanth ko jinke allah kahe apna haath
Jinke talwo ka dhowan hai aab e haya
Hai wo jaane masiha hamara nahi ﷺ
Mangne walon hamko to yun chahiye
Q kahun ye ata wo ata chahiye
Unko maloom hai humko kya chahiye
Bhar jholi meri mere sarkaar ne
Muskura kar kaha aur kya chahiye
Kaun deta hai dene ko muh chahiye
Dene wala hai sacha hamara nabiﷺ
Sabse aula wa aala hamara nabiﷺ
Sabse bala wa aala hamara nahiﷺ
Do jahan ka shahinsha madine me hai
Jiske dar per sakhawat ka dariya bahe
Aur be sahara kaha kisko koi kahe
Kyun
Kyun ki Gham zadon ko raza mujda dije ke hai
Bekason ka sagara hamara nahiﷺ
Sabse aula wa aala hamara nabiﷺ
Sabse bala wa aala hamara nabiﷺ

No comments:
Post a Comment